jis tarah badla hun main badlegi kya
meri basti mujh ko pahchanegi kya
zaKHm-e-sar hai aap apni dastan
pattharon se zindagi puchhegi kya
tirgi ne masKH kar din suraten
aane wali raushni dekhegi kya
zehn mein rukne nahin pate KHayal
jism ke upar qaba Thahregi kya
main to jaan dete hue bhi hans paDun
talKHi-e-zahrab gham sochegi kya
dhup aisi hai ki dariya sukh jaen
KHun ke chhinTon se rut badlegi kya
ji raha hun dusron ke jism mein
maut jine se mujhe rokegi kya
Ghazal
Jis tarah badla hun main badlegi kya
Manzar Saleem