jis tarah ashk chashm-e-tar se gire
yun hi hum aap ki nazar se gire
be-takalluf gale laga len hum
kash KHanjar teri kamar se gire
ruKH se Tapke jo qatr-ha-e-araq
phul se daman-e-sahar se gire
na to sayyaad hai na kunj-e-qafas
kahin bijli mein abr-e-tar se gire
dekh kar shakl un ki ai 'raunaq'
mahr-o-mah bhi meri nazar se gire
Ghazal
Jis tarah ashk chashm-e-tar se gire
Raunaq Tonkvi