jis taraf jaun udhar aalam-e-tanhai hai
jitna chaha tha tujhe utni saza pai hai
mein jise dekhna chahun wo nazar na aa sake
hae in aankhon pe kyun tohmat-e-binai hai
barha sar-kashi o kaj-kulahi ke ba-wasf
tere dar par mujhe daryuza-gari lai hai
sadma-e-hijr mein tu bhi hai barabar ka sharik
ye alag baat tujhe tab-e-shakebai hai
bhulne wale ne shayad ye na socha hoga
ek do din nahin barson ki shanasai hai
jam-e-KHush-rang tahi hai mujhe malum na tha
apni TuTi hui tauba pe hansi aai hai
ye tawajjoh bhi teri husn-e-gurezan ki tarah
ye taghaful bhi meri hausla-afzai hai
tera lahja hai ki sannaTe ne aankhen kholin
teri aawaz kalid-e-dar-e-tanhai hai
'shaz' puchho ki ye aankhon ka dhundlaka kab tak
raat aai nahin ya nind nahin aai hai
Ghazal
Jis taraf jaun udhar aalam-e-tanhai hai
Shaz Tamkanat