jis taraf haal-e-junun mein tere diwane gae
pichhe pichhe pairwi mein sare farzane gae
imtihan ka waqt hai aao madad ke waste
phir na kahna hum ghalat nazron se pahchane gae
shaiKH-sahab apni izzat aap apne hath hai
mahfil-e-rindan mein kyun phir waz farmane gae
dekhiye is tarah paiman-e-wafa pura hua
shama jab raushan hui marne ko parwane gae
bulbul-o-gul ki kashish aur dast-e-gul-chin se gila
kya wo samjhe jo chaman se su-e-virane gae
wo chaman mein kya gae goya bahaaren aa gain
hum jidhar jaane lage hain sath virane gae
zabt ne dekha hai aisa waqt bhi gulshan mein jab
dad-KHwahi ke liye gulchin se gul-KHane gae
Ghazal
Jis taraf haal-e-junun mein tere diwane gae
Shiv Charan Das Goyal Zabt