jis taraf dekhiye tufan nazar aane lage
shahr ke shahr hi viran nazar aane lage
jab se shishon ne kiya un ke hawale KHud ko
tab se patthar bhi pareshan nazar aane lage
muKHtasar hum ne kiya KHud ko zara sa KHud mein
kis qadar raste aasan nazar aane lage
muflisi mein hui pahchan mujhe apnon ki
tha guman jin pe wo anjaan nazar aane lage
ek qadam hi to baDhaya hai hamari jaanib
aap ko faede nuqsan nazar aane lage
dekh kar meri talab mera junun-e-manzil
raste kaise pareshan nazar aane lage
Ghazal
Jis taraf dekhiye tufan nazar aane lage
Jyoti Azad Khatri