jis taraf dekhiye bazar udasi ka hai
shahr mein kaun KHaridar udasi ka hai
ab to aankhon mein bhi aansu nahin aate mere
ye alag rup mere yar udasi ka hai
ruh bechaari pareshan hai kahan jae ab
is qadar jism pe ab bar udasi ka hai
apne hone ka guman tak nahin hota mujh ko
jaane ye kaun sa mear udasi ka hai
ab ye ehsas hamesha mujhe hota hai dost
mujh mein ek shaKHs talabgar udasi ka hai
aaina dekh ke malum hua hai mujh ko
zaKHm chehre pe bhi is bar udasi ka hai
ye udasi mujhe tanha nahin rahne deti
han tere baad ye upkar udasi ka hai

Ghazal
Jis taraf dekhiye bazar udasi ka hai
inaam azmi