jis suraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aae
tum ye kaho KHud tum ne ab tak kitne diye jalae
apna kaam hai sirf mohabbat baqi us ka kaam
jab chahe wo ruThe hum se jab chahe man jae
kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed
hum sab ko samjhane wale kaun hamein samjhae
ek isi ummid pe hain sab dushman dost qubul
kya jaane is sada-rawi mein kaun kahan mil jae
duniya wale sab sachche par jina hai is ko bhi
ek gharib akela papi kis kis se sharmae
itna bhi majbur na karna warna hum kah denge
o 'ali' par hansne wale tu aali ban jae
Ghazal
Jis suraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aae
Jameeluddin Aali