jis se bezar rahe the wahi dar kya kuchh hai
ghar ki duri ne ye samjhaya ki ghar kya kuchh hai
shukr karta hun KHuda ne mujhe mahsud kiya
ab main samjha ki mere pas hunar kya kuchh hai
raat-bhar jag ke kaTe to koi meri tarah
KHud-ba-KHud samjhega wo pichhla pahar kya kuchh hai
koi jhonka nahin sanka chaman-e-rafta se
koi sun-gun nahin yaron ki KHabar kya kuchh hai
nigaran su-e-zamin dida-e-aflak hai aaj
jada-e-waqt pe miTTi ka safar kya kuchh hai
jaise qismat ki lakiron pe hamein chalna hai
kaun samjhega teri rahguzar kya kuchh hai
waraq-e-gul pe hai tahrir si donon jaanib
hum ne kya dekha udhar jaane udhar kya kuchh hai
chal paDe subh-e-azal 'shaz' ishaare pe tere
hum ne socha hi nahin raKHt-e-safar kya kuchh hai
Ghazal
Jis se bezar rahe the wahi dar kya kuchh hai
Shaz Tamkanat