jis samt nazar jae mela nazar aata hai
har aadmi is par bhi tanha nazar aata hai
sauda-e-dil-o-din ya sauda-e-dil-o-duniya
aashiq ko to donon mein ghaTa nazar aata hai
andhon ko tere ai husn ab mil gai binai
ab ishq ka har jazba nanga nazar aata hai
pasti se agar dekho nicha bhi hai kuchh uncha
uncha bhi bulandi se nicha nazar aata hai
kya shikwa taqqul ke KHamosh tahayyur se
jab apna tasawwur bhi gunga nazar aata hai
ai naz-e-KHud-arai de zarf ko pahnai
ghuTta hua qatre mein dariya nazar aata hai
rahmat bhi teri shayad kuchh kan ki unchi hai
insaf bhi tera kuchh andha nazar aata hai
nalan hain 'jamil' apni aankhon se ki ab un ko
suraj ka pujari bhi andha nazar aata hai
Ghazal
Jis samt nazar jae mela nazar aata hai
Jameel Mazhari