اردو हिंदी
Jis qadar shikwe the sab harf-e-dua hone lage | Shaahi Shayari
jis qadar shikwe the sab harf-e-dua hone lage

Ghazal

Jis qadar shikwe the sab harf-e-dua hone lage

Sarwar Alam Raz

;

jis qadar shikwe the sab harf-e-dua hone lage
hum kisi ki aarzu mein kya se kya hone lage

bekasi ne be-zabani ko zaban kya baKHsh di
jo na kah sakte the ashkon se ada hone lage

hum zamane ki suKHan-fahmi ka shikwa kya karen
jab zara si baat par tum bhi KHafa hone lage

rang-e-mahfil dekh kar duniya ne nazren pher lin
aashna jitne bhi the na-ashna hone lage

har qadam par manzilen kuchh dur yun hoti gain
raaz-ha-e-zindagani hum pe wa hone lage

sar-burida KHasta-saman dil-shikasta jaan-ba-lab
aashiqi mein surKH-ru nam-e-KHuda hone lage

aagahi ne jab dikhai rah-e-irfan-e-habib
but the jitne dil mein sab qibla-numa hone lage

aashiqi ki KHair ho 'sarwar' ki ab is shahr mein
waqt wo aaya hai bande bhi KHuda hone lage