jis qadar qalb ki taskin ke saman honge
karb afza-e-sukun-e-gham-e-hijran honge
arsa-e-hashr mein jo ishq ka unwan honge
meri hi KHak ke ajza-e-pareshan honge
ashk masum jo KHamyaza-e-isyan honge
wo bhi munjumla-e-saramaya-e-iman honge
mere arman to na minnat-kash-e-jaan honge
dil se niklenge to wo ghair ke arman honge
kahne-sunne se wo taklif-e-ayaadat na karen
isi-e-waqt hain aa kar bhi pasheman honge
dil mein rah rah ke khaTakte jo hain kanTon ki tarah
ghaaliban aap ke khoe hue paikan honge
hasil-e-ishq-o-mohabbat gham-e-hijran na sahi
wo kisi shoKH ke bhule hue paiman honge
lakh aazad sahi hazrat-e-'talib' lekin
aap bhi qail-e-majburi-e-insan honge
Ghazal
Jis qadar qalb ki taskin ke saman honge
Talib Baghpati