jis pal main ne ghar ki imarat KHwab-asar banai thi
us lamhe virani ne bhi ek raftar banai thi
hum ne hi mahr ko zahr se badla warna zamin ki gardish ne
din gham-KHwar banaya tha aur shab dildar banai thi
TuTe dil palkon se sambhaalen ab aise fankar kahan
warna ye duniya jab ujDi thi sau sau bar banai thi
apni rah ke sare kanTe main ne aap hi boe the
warna KHwab-e-azal ne duniya kam-azar banai thi
kucha kucha matam hoga galiyon galiyon wawaila
is par pahle kyun nahin socha jab dastar banai thi
kab tak ek hi manzar chunte apni ana ke zindani
aaj usi mein dar mangen hain jo diwar banai thi
Ghazal
Jis pal maine ghar ki imarat KHwab-asar banai thi
Razi Akhtar Shauq