jis ne tujhe KHalwat mein bhi tanha nahin dekha
us dekhne wale ka kaleja nahin dekha
uf uf wo uchaTti si nigah-e-ghalat-andaz
is tarah se dekha hai ki goya nahin dekha
jis gul ko ye sab DhunDti phirti hain hawaen
tu ne to use nargis-e-shahla nahin dekha
dam aankhon mein aTka hai KHuda ke liye aao
phir ye na gila ho mera rasta nahin dekha
'shair' ye ghazal likkhi hai ya jaD diye moti
duniya mein qalamkar bhi aisa nahin dekha
Ghazal
Jis ne tujhe KHalwat mein bhi tanha nahin dekha
Agha Shayar Qazalbash