jis ne teri aankhon mein shararat nahin dekhi
wo lakh kahe us ne mohabbat nahin dekhi
ek rup mere KHwab mein lahra sa gaya tha
phir dil mein koi chiz salamat nahin dekhi
aaina tujhe dekh ke gulnar hua tha
shayad teri aankhon ne wo rangat nahin dekhi
yun naqsh hua aankh ki putli pe wo chehra
phir hum ne kisi aur ki surat nahin dekhi
KHairaat kiya wo bhi jo maujud nahin tha
tu ne tahi-daston ki saKHawat nahin dekhi
sad-shukr guzari hai qayamat tan-e-tanha
us raat kisi ne meri haalat nahin dekhi
kya tujh se kahen kaise kaTi kaise kaTegi
achchha hai ki tu ne ye musibat nahin dekhi
shayad isi bais wo firozan hai abhi tak
suraj ne kabhi raat ki zulmat nahin dekhi
sab ki tarah tu ne bhi mere aib nikale
tu ne bhi KHudaya meri niyyat nahin dekhi
tinka hun magar sail ke raste mein khaDa hun
ai bhagne walo meri himmat nahin dekhi
jo Than liya dil mein wo kar guzra hun 'shahzad'
aai hui sar par koi aafat nahin dekhi
Ghazal
Jis ne teri aankhon mein shararat nahin dekhi
Shahzad Ahmad