اردو हिंदी
Jis ne nafrat hi mujhe di na zafar pyar diya | Shaahi Shayari
jis ne nafrat hi mujhe di na zafar pyar diya

Ghazal

Jis ne nafrat hi mujhe di na zafar pyar diya

Zafar Iqbal

;

jis ne nafrat hi mujhe di na 'zafar' pyar diya
main ne sab kuchh use kyun haar diya war diya

ek nazar nisf nazar shoKH ne Dali dil par
aur is dasht ko pairaya-e-gulzar diya

waqt zae na karo hum nahin aise waise
ye ishaara to mujhe us ne kai bar diya

zinda rakhta tha mujhe shakl dikha kar apni
kahin ru-posh hua aur mujhe mar diya

koi is baat ko taslim kare ya na kare
subh ki sair ne mujh ko dil bimar diya

zardiyan hain mere chehre pe 'zafar' us ghar ki
us ne aaKHir mujhe rang-e-dar-o-diwar diya