jis ne chhupa ke bhuk ko patthar mein rakh liya
duniya ko is faqir ne Thokar mein rakh liya
ahl-e-junun ko apne junun se wo ishq tha
dil ne jagah na di to use sar mein rakh liya
nanha koi parind uDa jab to yun laga
himmat ne aasman ko shahpar mein rakh liya
aankhon ne aansuon ko ajab ehtimam se
moti bana ke dil ke samundar mein rakh liya
hum ne tumhaari did ke lamhe sameT kar
phir se purane KHwab ki chadar mein rakh liya
kya Dar sama gaya ki hamare harif ne
tum jaise shahsawar ko lashkar mein rakh liya
kuchh baat thi jo hum ne sitaron ke darmiyan
un aansuon ko raat ke manzar mein rakh liya
aankhen thakin to dil ne sahaara diya 'fahim'
hum ne kisi ka aks nae ghar mein rakh liya
Ghazal
Jis ne chhupa ke bhuk ko patthar mein rakh liya
Faheem Jogapuri