jis ne banaya har aaina main hi tha
aur phir us mein apna tamasha main hi tha
mere qatl ka jashn manaya duniya ne
phir duniya ne dekha zinda main hi tha
mahl-sara ke sab chehron ko jaanta hun
jis se gae the dil tak rasta main hi tha
dekh liya zindanon ki diwaron ne
un se qad mein buland-o-baala main hi tha
main hi nahin to kaun se log aur kaise log
kaun si duniya sahab-e-duniya main hi tha
mulkon mulkon phir kar KHali hath miyan
lauTne wala wo shahzada main hi tha
duniya tu ne KHali hath mujhe jaana
zalim tera sab sarmaya main hi tha
mera suragh lagane wale jaante hain
jab tak tha main apna hawala main hi tha
Ghazal
Jis ne banaya har aaina main hi tha
Razi Akhtar Shauq