jis ne aadam ke tain jaan baKHsha
KHizr ko chashma-e-haiwan baKHsha
pir-e-kanan ko diya dard-e-firaq
yusuf-e-misr ko zindan baKHsha
taKHt barbaad sulaiman ka kiya
dew ko mulk-e-suleman baKHsha
zinat aflak ko di anjum se
mahr ko nur-e-daraKHshan baKHsha
zewar-e-husn kiya chashm-e-haya
ishq ko dida-e-hairan baKHsha
kohkan ko kamar-e-koh diya
qais ko dasht ka daman baKHsha
rang-o-bu gul ko diya gulshan mein
sair-e-bulbul ko gulistan baKHsha
kufr kafir ke nasibon mein likha
ahl-e-islam ko iman baKHsha
roz-e-misaq mein 'hatim' ke tain
chashm-e-giryan dil-e-biryan baKHsha
Ghazal
Jis ne aadam ke tain jaan baKHsha
Shaikh Zahuruddin Hatim