اردو हिंदी
Jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya | Shaahi Shayari
jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya

Ghazal

Jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya

Gopi Nath Amn

;

jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya
masti to dil mein chahiye shaghl-e-sharab kya

kya dard-e-dil muharrik-e-KHidmat nahin raha
jannat Thahar gai hai bina-e-sawab kya

yunhi nazar uThi thi zara dair ki taraf
milta hai ab ye dekhen haram se KHitab kya

apnon se KHauf hai ki kahin ghair hi na hon
hai is se baDh ke aur jahan mein azab kya

ummid doston se wafa ki hai aaj tak
ab tak nahin mili nazar-e-kaamyab kya

aaKHir kahan se aa gain ye kaj-adaiyan
aadam ki thi sarisht mein miTTi KHarab kya

haal-e-zabun ke aaine duniya mein hain bahut
dekhi nahin kabhi koi chashm-e-sarab kya

apni bisat jaan ke KHamosh ho gaya
shair hun main to dunga kisi ko jawab kya

hans hans ke ham-nashinon ne charke lagae 'amn'
in mehrbaniyon ke karam ka hisab kya