jis kun mulk-e-be-KHudi ka raj hai
hai zamin taKHt aur bagula taj hai
KHwab mein wo zulf-e-mushkin dekhnan
haq mein mere lailt-ul-meraj hai
dekh kar lashkar ghanim-e-ishq ka
kishwar-e-aql-o-KHirad taraj hai
ai tabib-e-mehrban bimar-e-hijr
sharbat-e-didar ka muhtaj hai
yar ki aankhon mein hai jaisi haya
chashm-e-nargis mein kahan ye laj hai
us kaman-abru ke tir-e-naz ka
sina-chaakon ka jigar aamaj hai
dil mera tujh gham sin ai jaan-e-'siraj'
beshtar be-tab kal sin aaj hai
Ghazal
Jis kun mulk-e-be-KHudi ka raj hai
Siraj Aurangabadi