jis kun dard-e-jigar ki lazzat hai
zahar us kun misal-e-amrat hai
dekh tujh naz ki nazakat kun
nighat-e-gul shahid-e-hairat hai
kam-numai sin us qamar-ru kun
mah-e-nau ki misal shohrat hai
meri aankhon mein yar ki taswir
aks-e-aina-e-mohabbat hai
jhanjh mein kyun na aawe dil mera
tujh judai ki mujh ko naubat hai
kya chuka bu hai zulf mein teri
aarsi jis kun dekh chakrat hai
wasl mein iztirab jata nahin
sau qaran mujh kun ek saat hai
misl-e-aina kar namad-poshi
safi-e-sina tark-e-zinat hai
phir patangon ka shor uTTha 'siraj'
jalwa-e-shama-ru qayamat hai
Ghazal
Jis kun dard-e-jigar ki lazzat hai
Siraj Aurangabadi