jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla
zarf mein kasa-e-darwesh samundar nikla
kabhi darwesh ke takiya mein bhi aa kar dekho
tang-dasti mein bhi aaram mayassar nikla
mushkilen aati hain aane do guzar jaengi
log ye dekhen ki kamzor dilawar nikla
jab girafton se bhi aage ho pahunch muTThi ki
tab lagega ki samundar mein shanawar nikla
koi mauhum sa chehra jo bulata hai hamein
baadalon ki tarah shaklen wo badal kar nikla
dil ajab chiz hai kis miTTi mein ja kar boen
jaD yun pakDe ki lage peD tanawar nikla
lash qatil ne khuli phenk di chaurahe par
dekhne wala koi ghar se na bahar nikla
dekhne mein to dhanak chand hi lamhe thi 'anis'
sat rangon ka magar didani manzar nikla
Ghazal
Jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla
Anees Ansari