jis ko sab kahte hain samundar hai
qatra-e-ashk-e-dida-e-tar hai
abru-e-yar dil ka KHanjar hai
mizha-e-yar nok-e-nashtar hai
chashm-e-ashiq se do bahe dariya
ek tasnim ek kausar hai
KHana-e-dil hai ghair se KHali
shauq se aao aapka ghar hai
qatai aaj faisla hoga
teri talwar hai mera sar hai
ab to dhuni rama ke baiThe hain
dar-e-jaanan pe apna bistar hai
tama har ek ka din-o-iman hai
jis ko dekho wo banda-e-zar hai
KHub dil khol kar jafa kar lo
banda muddat se is ka KHugar hai
baam par jalwa-gar hai wo shayad
ku-e-jaanan mein shor-e-mahshar hai
karta aalam ko aah se barham
lek 'rana' ko yar ka Dar hai
Ghazal
Jis ko sab kahte hain samundar hai
Mardan Ali Khan Rana