jis ko qarib paya usi se lipaT gae
suraj Dhala to log qabilon mein baT gae
wo gul-parast jin pe bahaaron ko naz tha
aai KHizan to pa-e-KHizan se lipaT gae
kis kis ki main hujum mein aankhen nikalta
achchha hua ki aap dariche se haT gae
jo qahqahe ki jaan se ziyaada aziz the
zinda-dili ke nam pe kal wo bhi baT gae
ThiThure hue badan ko hararat na mil saki
chhat par chaDhe to dhup ke sae simaT gae
jin hauslon pe koh-e-giran ka guman tha
aandhi chali to saikDon hisson mein baT gae
Ghazal
Jis ko qarib paya usi se lipaT gae
Sultan Akhtar