jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla
hath aaya jo yaqin wahm sarasar nikla
ek safar dasht-e-KHarabi se sarabon tak hai
aankh kholi to jahan KHwab ka manzar nikla
kal jahan zulm ne kaTi thin saron ki faslen
nam hui hai to usi KHak se lashkar nikla
KHushk aankhon se uThi mauj to duniya Dubi
hum jise samjhe the sahra wo samundar nikla
zer-e-pa ab na zamin hai na falak hai sar par
sail-e-taKHliq bhi girdab ka manzar nikla
gum hain jibril o nabi gum hain kitab o iman
aasman KHud bhi KHalaon ka samundar nikla
arsh par aaj utarti hai zaminon ki wahi
kurra-e-KHak sitaron se munawwar nikla
har payambar se sahife ka taqaza na hua
haq ka ye qarz bhi nikla to hamin par nikla
gunj uTha naghma-e-kun dasht-e-tamanna mein 'wahid'
pa-e-wahshat had-e-imkan se jo bahar nikla
Ghazal
Jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla
Waheed Akhtar