jis ko lagta hai gum-shuda hun main 
jaan le mujh ko zalzala hun mein 
main bachati hun bad-duaon se 
man ki bheji hui dua hun main 
kho gaya jo ghane andheron mein 
us ujale ka rasta hun main 
mujh ko pahchan mere naz uTha 
tera apnon se rabta hun main 
nafraton ne diye hain jo tum ko 
aise har dard ki dawa hun main 
waqt se haar kar na baiTh mujhe 
phir bula le teri ada hun main 
main sukun hun KHushi bhi hun 'sarhad' 
kaun kahta hai gham-zada hun main
        Ghazal
Jis ko lagta hai gum-shuda hun main
Seema Sharma Sarhad

