jis ko KHabar nahin use josh-o-KHarosh hai
jo pa gaya wo raaz wo gum hai KHamosh hai
hai ek shor-e-bulbul-o-saut-e-shagufta-gul
ye surat-e-afiyat hai wo yasin-e-hosh hai
aai thi shakl dil ke jo aaina mein nazar
band aankh is se aur zaban bhi KHamosh hai
ye haal ho ki aap mein aalam ko dekh le
gar dil mein tere ishq ki kasrat ka josh hai
kab hai kamal-e-ishq pe hawi gham-e-firaq
ek ek zarra qais ko mahmil ba-dosh hai
warafta-e-hawa-e-tarab yaad rakh use
jo dard ki khaTak hai nawed-e-sharosh hai
barq-e-jamal nafe-e-ma-o-shuma hui
kya zikr-e-sham-e-tur ki wo bhi KHamosh hai
kya hai tera hudus-o-qidam hum to hain wahan
hasti jahan adam ke liye KHwab-nosh hai
ushshaq jama pahne hain taslim-e-ishq ka
dastar-o-jubba shaiKH ka han parda-posh hai
tere jahan se mahfil-e-rindan juda hai shaiKH
har ek mughbacha yahan kasr-e-farosh hai
saqi ki ek nazar hi hamein mast kar gai
kis ko surahi-o-KHam-o-saghar ka hosh hai
amrit ke jhaale mar kiya la-taqnatu ki hain
is bazm mein ye mashghala-e-nao-nosh hai
'kaifi' ye ahl-e-dahr se kah do pukar kar
is bazm mein wo aae ki jo sarfarosh hai
Ghazal
Jis ko KHabar nahin use josh-o-KHarosh hai
Dattatriya Kaifi