اردو हिंदी
Jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah | Shaahi Shayari
jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah

Ghazal

Jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah

Shola Haspanvi

;

jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah
aaj milta hai wo aashna ki tarah

meri hasti bhi ho jaegi jawedan
dast-e-qatil uTha hai dua ki tarah

us ke hathon pe hain mere KHun ke nishan
jo mahakte hain rang-e-hina ki tarah

justuju hai mujhe aaj us shaKHs ki
jo wafa bhi kare bewafa ki tarah

rah-e-manzil mein baiTho na yun haar kar
raunde jaoge tum naqsh-e-pa ki tarah

karwan karwan pahunche manzil pe hum
rah badalti rahi rahnuma ki tarah