jis ko hona hai wo in aankhon se ojhal ho jae
us se pahle ki mera kaam mukammal ho jae
main to bas dekhta rahta hun zaminon ke kaTao
aadmi sochne wala ho to pagal ho jae
kahin aisa na ho virane hon phir se aabaad
kahin aisa na ho har shahr hi jangal ho jae
ye zamin jis pe hai gulzaron ki tadad bahut
ye bhi ho sakta hai kal ko wahi maqtal ho jae
reg-zaron se buKHaraat hi uThte hain magar
kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jae
mera pindar hi diwar hai nakaami ki
ye jo gir jae to har KHwab mukammal ho jae
Ghazal
Jis ko hona hai wo in aankhon se ojhal ho jae
Asad Badayuni