jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui
KHub ai isa-nafas teri masihai hui
karb ki ek mushtarak tahrir har chehre pe thi
ajnabi logon se pal bhar mein shanasai hui
be-usuli maslahat ke nam se phuli-phali
hum usulon par lage jine to ruswai hui
kar raha hun haal mein guzre hue lamhe talash
gutthiyan suljha raha hun apni uljhai hui
sar se uncha tha jo pani sar se uncha hi raha
jitna qad baDhta gaya utni hi gahrai hui

Ghazal
Jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui
Murtaza Birlas