jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai
shahar ka shahar hi aaseb-zada lagta hai
machhliyan sari samundar ki laraz uThti hain
koi tinka bhi agar tinke se ja lagta hai
KHud ko duniya se hunar-mand samajhne walo
ghar se niklo to haqiqat ka pata lagta hai
dosti pyar wafa sath nibhane ki qasam
har amal us ka banawaT se bhara lagta hai
ghar ke mahaul mein is darja taffun hai 'atiq'
sans lena bhi yahan ab to saza lagta hai
Ghazal
Jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai
Ateeq Muzaffarpuri