jis ko dekho wahi paikar mein uljha hua hai
har gareban kisi tar mein uljha hua hai
dasht bechain hai wahshat ki pazirai ko
dil-e-wahshi dar-o-diwar mein uljha hua hai
jang dastak liye aa pahunchi hai darwaze tak
shahzada lab-o-ruKHsar mein uljha hua hai
ek hikayat lab-e-izhaar pe hai soKHta-jaan
ek qissa abhi kirdar mein uljha hua hai
sar ki qimat mujhe malum nahin hai lekin
aasman tak meri dastar mein uljha hua hai
aaiye bich ki diwar gira dete hain
kab se ek masala be-kar mein uljha hua hai
Ghazal
Jis ko dekho wahi paikar mein uljha hua hai
Khurshid Talab