اردو हिंदी
Jis ko dekho ehtisab-e-zist se ghafil hai aaj | Shaahi Shayari
jis ko dekho ehtisab-e-zist se ghafil hai aaj

Ghazal

Jis ko dekho ehtisab-e-zist se ghafil hai aaj

Rashid Shahjahanpuri

;

jis ko dekho ehtisab-e-zist se ghafil hai aaj
ranj-e-mazi hai na fikr-e-haal-o-mustaqbil hai aaj

marhaba sad marhaba jazb-e-wafa kaamil hai aaj
wo ada-e-be-niyazi gham-gusar-e-dil hai aaj

apne haq mein mail-e-lutf-o-karam qatil hai aaj
har ada-e-KHashmagin himmat faza-e-dil hai aaj

bazm-e-aza bani hui hai bazm-e-zauq-o-zauq
daur-e-nashat mojib-e-dauran-e-sar hai aaj

mauquf hai labon ki tabassum se rasm-o-rah
aah-o-fughan wazifa-e-sham-o-sahar hai aaj

jab tum hamare ho na sake hum nahin rahe
lo dastan-e-meh-e-wafa muKHtasar hai aaj