jis ko chaho tum us ko bhar do
mah ko nuqra mehr ko zar do
pir-e-mughan se arz ye kar do
dakhkhin baKHsho agar saghar do
aah ye donon aafat-e-jaan hain
naz-o-ada lanat bar har do
ji jalta hai aah ke jhonko
sham-e-mohabbat ko gul kar do
qatra-fishani kya ai aankho
aise barso jal-thal bhar do
bulbulo sayyaad aaj KHafa hai
halq chhuri ke niche dhar do
jaan un aankhon se na bachegi
ye hai idhar tanha wo udhar do
dam ki aamad-o-shud kya kahiye
zoaf ki rah se hain ye safar do
apna gala KHud kaTte hain hum
dam lo chhuri ki tale be-dardo
jaan-o-mal fida karne mein
fikr-o-taraddud ai na-mardo
arz ye hai naqqash-e-azal se
hub ke naqsh mein yar ko ghar do
daulat-e-dil tum to hazir hai
KHatt-e-ezar tamassuk kar do
shukr-guzar ba-har-surat hain
zahar hamein do ya shakkar do
aankhon mein hai mawad-e-girya
'bahr' in phoDon ko nashtar do
Ghazal
Jis ko chaho tum usko bhar do
Imdad Ali Bahr