اردو हिंदी
Jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila | Shaahi Shayari
jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila

Ghazal

Jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila

Shahid Ishqi

;

jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila
baKHshishen hain be-hisab us ki hamein kya kya mila

ajnabi chehron mein phir ek aashna chehra mila
phir mujhe us ke talluq se pata apna mila

is chaman mein phul ki surat raha main chaak-dil
is chaman mein shabnam-asa main sada pyasa mila

phir qadam uThne lage hain shahr-e-na-pursan ki samt
mere pa-e-shauq ko to ek hi rasta mila

dekh kar us ko bhala phir kis ko dekha jae hai
majma-e-aghyar mein bhi us se main tanha mila

yun hua ruKHsat rahi baqi na milne ki umid
yun hua jaise ho muddat ka koi bachhDa mila