jis ko bhi dekho tere dar ka pata puchhta hai
qatra qatre se samundar ka pata puchhta hai
DhunDta rahta hun aaine mein aksar KHud ko
mera bahar mere andar ka pata puchhta hai
KHatm hote hi nahin sang kisi din us ke
roz wo ek nae sar ka pata puchhta hai
DhunDte rahte hain sab log lakiron mein jise
wo muqaddar bhi sikandar ka pata puchhta hai
muskuraate hue main baat badal deta hun
jab koi mujh se mere ghar ka pata puchhta hai
dar-o-diwar hain mere ye ghazal ke misre
kya suKHan-war se suKHan-war ka pata puchhta hai
Ghazal
Jis ko bhi dekho tere dar ka pata puchhta hai
Rajesh Reddy