jis ko apne bas mein karna tha us se hi laD baiTha
sidha mantar paDhte paDhte ulTa mantar paDh baiTha
wo aisa taswir-nawaza ki jis ko main janchta hi nahin
aur ek main har frame ke andar chitr usi ka jaD baiTha
gyan luTane nikla tha aur jholi mein bhar laya pyar
main aisa rang-rez hun jis pe rang chunar ka chaDh baiTha
parson main bazar gaya tha darpan lene ki KHatir
kya bolun dukan pe hi main sharm ke mare gaD baiTha
baqi baaten phir kar lenge aaj ye gutthi suljha len
dharti kankaD par baiThi ya phir is par kankaD baiTha
Ghazal
Jis ko apne bas mein karna tha us se hi laD baiTha
Navin C. Chaturvedi