jis ko aadat wasl ki ho hijr se kyunkar bane
jab uThe ye gham ki dil ka aaina patthar bane
ab jo wo banwaen gahna yaad rakhna gul-farosh
phul bach jaen to meri qabr ki chadar bane
baad aaraish balaen kaun lega mere baad
yaad karna mujh ko jab zulf-e-pari-paikar bane
hai tumhaare samne to jaan ka bachna muhaal
tum se jab chhuTen to dekhen ghair se kyunkar bane
donon aashiq tere aur donon ki yakja bud-o-bash
meri jaan jaan-o-jigar mein dekhiye kyunkar bane
aarzu-mand-e-shahadat ki wasiyyat sab se hai
nam khoda jae mera jab koi KHanjar bane
dil mushabbak ho gaya tir-e-nigah-KHana se
ab tumhaari yaad ke aane ko lakhon ghar bane
ghair se koi talluq hi na rakh ai jang-ju
gar bigaD mujh se bigaD jo kuchh bane mujh par bane
KHuftagan-e-KHak chaunk uTThe chale kuchh aisi chaal
aaj to ai meri jaan tum fitna-e-mahshar bane
chahte ho tum rahun mar kar bhi main qadmon se dur
kahte ho qabr us ki mere kuche se bahar bane
mar ke bhi paen lab-e-saqi ka bosa kya majal
wan na pahunche gar hamari KHak ka saghar bane
daman-e-qatil ke dhabbon ki gawahi ho zarur
gar hamare KHun ka ai dosto mahzar bane
dil mujhe achchha bura jaisa banaya de diya
sar to koi puchhta kaisa bane kyunkar bane
qabr ka kona ho maskan dam nikal jae 'rashid'
KHana-e-tan gir chuke jaldi ki apna ghar bane
Ghazal
Jis ko aadat wasl ki ho hijr se kyunkar bane
Rasheed lakhnavi