jis ki talab mein umr ka sauda nahin hua
us KHwab ka sarab bhi apna nahin hua
apni salib sar pe liye chal rahe hain log
shahr-e-saza mein koi kisi ka nahin hua
kahne ko ji sambhal to gaya hai magar kahin
ek dard hai ki jis ka mudawa nahin hua
us ne mere baghair guzari hai zindagi
is aagahi ka zahr gawara nahin hua
ab bhi hai mo'tabar to KHuda ki ata hai ye
warna wafa ke nam pe kya kya nahin hua
ai harf-e-baryab teri KHair par wo log
jin par dar-e-qubul kabhi wa nahin hua
Ghazal
Jis ki talab mein umr ka sauda nahin hua
Nahid Qamar