jis ki saundhi saundhi KHushbu aangan aangan palti thi
us miTTi ka bojh uThate jism ki miTTi galti thi
jis ko tap ke garm lihafon mein bachche so jate the
dil ke chulhe mein har dam wo aag barabar jalti thi
garm do-pahron mein jalte sehnon mein jhaDu dete the
jin buDhe hathon se pak kar roTi phul mein Dhalti thi
kisi kahani mein virani mein jab dil ghabraata tha
kisi aziz dua ki KHushbu sath hamare chalti thi
gard uDate zard bagule dar par dastak dete the
aur KHasta-diwaron ki pal bhar mein shakl badalti thi
KHushk khajur ke patton se jab nind ka bistar sajta tha
KHwab-nagar ki shahzadi galiyon mein aan nikalti thi
din aata tha aur sine mein sham ka KHaka banta tha
sham aati thi aur jismon mein sham bhi aaKHir Dhalti thi
Ghazal
Jis ki saundhi saundhi KHushbu aangan aangan palti thi
Hammad Niyazi