اردو हिंदी
Jis ki KHatir maine duniya ki taraf dekha na tha | Shaahi Shayari
jis ki KHatir maine duniya ki taraf dekha na tha

Ghazal

Jis ki KHatir maine duniya ki taraf dekha na tha

Ateeq Anzar

;

jis ki KHatir main ne duniya ki taraf dekha na tha
wo mujhe yun chhoD jaega kabhi socha na tha

us ke aansu hi batate the na ab lauTega wo
is se pahle to bichhaDte waqt yun rota na tha

rah gaya tanha main apne doston ki bhiD mein
aur hamdam wo bana jis se koi rishta na tha

qahqahon ki dhup mein baiThe the mere sath sab
aansuon ki barishon mein par koi bhiga na tha

ashk palkon pe bichhaD kar apni qimat kho gaya
ye sitara qimti tha jab talak TuTa na tha

marmarin gumbad pe rukti thi har ek pyasi nazar
par kasi ne maqbare mein gham chhupa dekha na tha