اردو हिंदी
Jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke | Shaahi Shayari
jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke

Ghazal

Jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke

Natiq Gulavthi

;

jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke
ab kisi chiz ka hum ko nahin arman hota

shiddat-e-dard hi hoti kahin ghaarat-gar-e-hosh
baKHt itna to na barham-zan-e-saman hota

chaara-gar koshish-e-be-sud hai tadbir-e-ilaj
hum na hote to maraz qabil-e-darman hota

aa hi jata hai bure waqt mein apnon ko KHayal
koi hota jo hamara bhi to pursan hota

puchhte kya ho sabab dafn-e-dil-e-zar ke baad
main musibat-zada ab bhi na hirasan hota

rone walon ko to taqdir se ro baiThe the
ai ajal kaun hamare liye giryan hota

gham ko ab rakhiye kahan zist kahin zist bhi ho
KHatm qissa hua jis ka ki ye unwan hota

hum to is baat pe raazi the magar ai 'natiq'
nafs-e-kafir bhi kisi tarah musalman hota