jis ki har baat mein qahqaha jazb tha main na tha dosto
wo jo hansta hansata tha is shahr mein ho liya dosto
ek ek kar ke ahl-e-ilm chal diye shahr viran hai
ek le-de ke main bach raha hun so mujh mein hai kya dosto
ek do phul the sukh ke Tahni pe so wo bhi murjha gae
warna is peD pe har samay har taraf rang tha dosto
ba-wafa mehrban sab ke sab shahr se ho chuke the bida
jab yahan aae the hum wafa mehr ka kal tha dosto
ek lamhe wo mujh pas chup-chap sa baiTh kar uTh gaya
dil se uThta raha muddaton muddaton shor sa dosto
hum hawas ki tarah ishq karte rahe ruh bhi jism bhi
apni bedariyon ka sila KHwab hi KHwab tha dosto
ye na milna bhi ek aur ehsan hai bewafai nahin
haal dekha na jata tha ahbab se 'ashk' ka dosto
Ghazal
Jis ki har baat mein qahqaha jazb tha main na tha dosto
Bimal Krishn Ashk