jis ki girah mein mal nahin hai
gham pursan-e-haal nahin hai
sabza ho ya dil tere qadam se
kaun hai jo pamal nahin hai
un ke karam ka rasta dekhen
itna istiqlal nahin hai
aaj gharibon ka duniya mein
koi sharik-e-haal nahin hai
us ka bhi koi rang-e-suKHan hai
jis ki koi Taksal nahin hai
KHush hain 'rashid' itna duniya mein
kya KHauf-e-amal nahin hai
Ghazal
Jis ki girah mein mal nahin hai
Rasheed Rampuri

