اردو हिंदी
Jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha | Shaahi Shayari
jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

Ghazal

Jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha

Mohammad Sajjad Mirza

;

jis ki aankhon mein koi rang-e-shanasai na tha
us se milne ka mera dil bhi tamannai na tha

hum dayar-e-ghair mein kahte rahe hain dil ki baat
ek apne shahr hi mein izn-e-goyai na tha

jazba-e-dil ke bahak jaane se ruswa ho gae
kucha-e-mahbub warna ku-ruswai na tha

zulmat-e-shab ko jahan nur-e-sahar kahte the log
mera sach kahna sazawar-e-pazirai na tha

dad bhi deta na tha wo mere jazb-e-shauq ki
KHamushi aankhon mein lab par harf-e-goyai na tha

teri be-mehri na thi kotahi-e-qismat bhi thi
kar-zar-e-dil mein warna shauq-e-paspai na tha

meri apni zat hi ek anjuman se kam na thi
is liye 'sajjad' mujh ko KHauf-e-tanhai na tha