اردو हिंदी
Jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha | Shaahi Shayari
jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha

Ghazal

Jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha

Jurat Qalandar Bakhsh

;

jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha
muntazir hum ko biTha KHub kahin baiTh raha

bas ki likkhi thi main haalat dil-e-gum-gashta ki
kho ke qasid mera maktub kahin baiTh raha

dekhen kya aankh uTha kar ki hamein to nahaq
aankh dikhla ke wo mahbub kahin baiTh raha

sham se jaise nihan mahr ho so wasl ki raat
munh chhupa kar wo is uslub kahin baiTh raha

hai meri KHana-nashini se ye ghar ghar mazkur
KHail-e-ushshaq ka sarkub kahin baiTh raha

jaana main us ka na aana ki samajh kar wo shoKH
baiThne ko mere mayub kahin baiTh raha

bud-o-bash apni kahen kya ki ab us bin yun hai
jis tarah se koi majzub kahin baiTh raha

awwal-e-ishq mein surat ye bani 'jurat' ki
ho ke aaKHir ko wo mahjub kahin baiTh raha