اردو हिंदी
Jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai | Shaahi Shayari
jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

Ghazal

Jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

Shad Lakhnavi

;

jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai
ho chuka darman masiha aap hi darmanda hai

jite-ji kya mar gae par bhi wabaal-e-dosh hai
jo meri mayyat uThata hai wo deta kandha hai

ta-qayamat gardish-e-taqdir jaane ki nahin
apni bargashta-nasibi ne wo charKHa nanda hai

hai ayan har shai se dikhlai nahin deta magar
wah re DhaT bandi kiya sab ki nazar ko bandha hai

hum idhar betab udhar wo barq-wash betab hai
kaundti bijli kisi jaanib lapakta kanda hai

uD gaya bak-bak se hum nazuk-mizajo ka dimagh
pand-go chup rah kahan ka qissa nandha hai

Dar nahin be-matre ai 'shad' hindi lafz ka
is ghazal mein qafiya danista hum ne bandha hai