اردو हिंदी
Jis ka koi bhi nahin us ka KHuda hai yaro | Shaahi Shayari
jis ka koi bhi nahin us ka KHuda hai yaro

Ghazal

Jis ka koi bhi nahin us ka KHuda hai yaro

Krishn Bihari Noor

;

jis ka koi bhi nahin us ka KHuda hai yaro
main nahin kahta kitabon mein likha hai yaro

muD ke dekhun to kidhar aur sada dun to kise
mere mazi ne mujhe chhoD diya hai yaro

is saza se to mera ji hi nahin bharta hai
zindagi kaise gunahon ki saza hai yaro

shab hai is waqt koi ghar na khula paoge
aao mai-KHane ka darwaza khula hai yaro

koi karta hai duaen to ye jal jata hai
mera jiwan kisi mandir ka diya hai yaro

main andhere mein rahun ya main ujale mein rahun
aisa lagta hai koi dekh raha hai yaro

haal ka zaKHm to mazi se bahut gahra hai
aaj zaKHmi mera saya bhi hua hai yaro

intizar aaj ke din ka tha baDi muddat se
aaj us ne mujhe diwana kaha hai yaro