jis ka inkar bhi inkar na samjha jae
hum se wo yar-e-tarah-dar na samjha jae
itni kawish bhi na kar meri asiri ke liye
tu kahin mera giraftar na samjha jae
ab jo Thahri hai mulaqat to is shart ke sath
shauq ko dar-KHur-e-izhaar na samjha jae
nala bulbul ka jo sunta hai to khil uThta hai gul
ishq ko muft ki begar na samjha jae
ishq ko shad kare gham ka muqaddar badle
husn ko itna bhi muKHtar na samjha jae
baDh chala aaj bahut had se junun-e-gustaKH
ab kahin us se sar-e-dar na samjha jae
dil ke lene se 'salim' us ko nahin hai inkar
lekin is tarah ki iqrar na samjha jae
Ghazal
Jis ka inkar bhi inkar na samjha jae
Saleem Ahmed