اردو हिंदी
Jis ka dil aapne liya hoga | Shaahi Shayari
jis ka dil aapne liya hoga

Ghazal

Jis ka dil aapne liya hoga

Khwaja Aminuddin Ameen

;

jis ka dil aap ne liya hoga
KHak mein le mila diya hoga

hum ko kya gar bahaar aai hai
dil wo ghuncha nahin ki wa hoga

galiyan ghair se sunate ho
han miyan tum se aur kya hoga

mil gaya hoga KHak mein jun ashk
teri aankhon se jo gira hoga